Ahmad Faraz

AHMAD FARAZ

Aankh se door na ho dil se utar jayega
Waqt ka kya hai gujarta hai gujar jayega
Itna maanoos na ho khilwat-e-gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jaayega
Tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaayoge
Aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayega
Zindagi teri ata hai to ye jaanewaala
Teri bakhsheesh teri dehleez pe dhar jaayega
Doobte doobte kashti to ochaala de doon
Main nahin koi to saahil pe utar jaayega
Zabt laajim hai magar dukh hai qyaamat ka Faraz
Zaalim ab ke bhi na royega to mar jaayega
Ahmad Faraz


उस शख्स से बस इतना सा ताल्लुक़ है फ़राज़
वो परेशां हो तो हमें नींद नहीं आती

Us shakhs se bas itna sa taalluk hai Faraz
Wo pareshan ho to humein neend nahin aati
*****
12
बर्बाद करने के और भी रास्ते थे फ़राज़
न जाने उन्हें मुहब्बत का ही ख्याल क्यूं आया
Barbaad karne ke aur bhi raaste the Faraz
Na jane unhe muhabbat ka hi khyal kyun aaya
*****
13
तू भी तो आईने की तरह बेवफ़ा निकला फ़राज़
जो सामने आया उसी का हो गया
Tu bhi to aaine ki tarah bewafa nikal Faraz
Jo samane aaya usi ka ho gaya
*****
14
बच न सका ख़ुदा भी मुहब्बत के तकाज़ों से फ़राज़
एक महबूब की खातिर सारा जहाँ बना डाला
Bach na saka khuda bhi muhabbat ke takaazon se Faraz
Ek mahboob ki khatir sara jahan bana dala
*****
15
मैंने आज़ाद किया अपनी वफ़ाओं से तुझे
बेवफ़ाई की सज़ा मुझको सुना दी जाए
Maine aazad kiya apni wafaao se tujhe
Bewafaai ki saza mujhko suna di jaye
*****
16
मैंने माँगी थी उजाले की फ़क़त इक किरन फ़राज़
तुम से ये किसने कहा आग लगा दी जाए
Maine maangi thi ujaale ki fakat ik kiran Faraz
Tum se ye kisne kahan aag laga di jaye
*****
17
इतनी सी बात पे दिल की धड़कन रुक गई फ़राज़
एक पल जो तसव्वुर किया तेरे बिना जीने का
Itani si baat pe dil ki dhadkan ruk gai Faraz
Ek pal jo tasvvur kiya tere bina jeene ka
*****
18
इस तरह गौर से मत देख मेरा हाथ ऐ फ़राज़
इन लकीरों में हसरतों के सिवा कुछ भी नहीं
Is tarah gaur se mat dekh mera haath ae Faraz
In laqiron mein hasraton ke siwa kuch bh nahin
*****
19
उसने मुझे छोड़ दिया तो क्या हुआ फ़राज़
मैंने भी तो छोड़ा था सारा ज़माना उसके लिए
Use mujhe chod diya to kya hua Faraz
Maine bhi to choda tha sara zamana uske liye
*****
20
ये मुमकिन नहीं की सब लोग ही बदल जाते हैं
कुछ हालात के सांचों में भी ढल जाते हैं
Ye mumkin nahin ki sab log hi badal jate hai
Kuchh haalaat ke saanchon mein bhi dhal jate hai

*****