Parveen Shakir |
Parveen Shakir was an Urdu poetess, teacher and a civil servant of the Government of Pakistan. Parveen started writing at an early age and published her first volume of poetry, Khushbu [Fragrance], to great acclaim, in 1976.
Born: November 24, 1952, Karachi, Pakistan
Died: December 26, 1994, Karachi, Pakistan
*****
कुछ तो हवा भी सर्द थी कुछ था तिरा ख़याल भी
दिल को ख़ुशी के साथ साथ होता रहा मलाल भी
बात वो आधी रात की रात वो पूरे चाँद की
चाँद भी ऐन चैत का उस पे तिरा जमाल भी
सब से नज़र बचा के वो मुझ को कुछ ऐसे देखता
एक दफ़ा तो रुक गई गर्दिश-ए-माह-ओ-साल भी
दिल तो चमक सकेगा क्या फिर भी तराश के देख लें
शीशा-गिरान-ए-शहर के हाथ का ये कमाल भी
उस को न पा सके थे जब दिल का अजीब हाल था
अब जो पलट के देखिए बात थी कुछ मुहाल भी
मेरी तलब था एक शख़्स वो जो नहीं मिला तो फिर
हाथ दुआ से यूँ गिरा भूल गया सवाल भी
उस की सुख़न-तराज़ियाँ मेरे लिए भी ढाल थीं
उस की हँसी में छुप गया अपने ग़मों का हाल भी
गाह क़रीब-ए-शाह-रग गाह बईद-ए-वहम-ओ-ख़्वाब
उस की रफ़ाक़तों में रात हिज्र भी था विसाल भी
उस के ही बाज़ुओं में और उस को ही सोचते रहे
जिस्म की ख़्वाहिशों पे थे रूह के और जाल भी
शाम की ना-समझ हवा पूछ रही है इक पता
मौज-ए-हवा-ए-कू-ए-यार कुछ तो मिरा ख़याल भी
परवीन शाकिर
kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera khayal bhi
dil ko khushi ke sath sath hota raha malal bhi
baat wo aadhi raat ki raat wo pure chand ki
chand bhi ain chait ka us pe tera jamal bhi
sab se nazar bacha ke wo mujh ko kuchh aise dekhta
ek dafa to ruk gai gardish-e-mah-o-sal bhi
dil to chamak sakega kya phir bhi tarash ke dekh len
shisha-giran-e-shahr ke hath ka ye kamal bhi
us ko na pa sake the jab dil ka ajib haal tha
ab jo palat ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhi
meri talab tha ek shakhs wo jo nahin mila to phir
hath dua se yun gira bhul gaya sawal bhi
us ki sukhan-taraaziyan mere liye bhi Dhaal thin
us ki hansi mein chhup gaya apne ghamon ka haal bhi
gah qarib-e-shah-rag gah baid-e-wahm-o-khwab
us ki rafaqaton mein raat hijr bhi tha visal bhi
us ke hi bazuon mein aur us ko hi sochte rahe
jism ki khwahishon pe the ruh ke aur jal bhi
sham ki na-samajh hawa puchh rahi hai ek pata
mauj-e-hawa-e-ku-e-yar kuchh to mera khayal bhi
Parveen Shakir
*******
Aks-e khushbu hun bikharne se na roke koi,
aur bikhar jaaun toh mujh ko na samete koi.
Kaanp uthti hun main ye soch ke tanhai mein,
Kaanp uthti hun main ye soch ke tanhai mein,
mere chehre pe tera naam na padh le koi.
Jis tarah mere khwaab ho gaye raiza raiza,
uss tarah se na toot ke bikhre koi.
Main toh uss din se hiraasaan hun ki jab hukum mile,
Main toh uss din se hiraasaan hun ki jab hukum mile,
khushk phoolon ko kitaabon mein na rakhe koi.
Ab toh iss raah se woh shakhs guzrta bhi nahi,
ab kis umeed pe darwaaze se jhaanke koi.
Koi aahat, koi aawaaz..koi chaap nahi,
Koi aahat, koi aawaaz..koi chaap nahi,
dil ki galiyan badi sunsaan hain aaye koi.
Parveen Shakir
अक़्स-ए-ख़ुशबू हूँ, बिखरने से न रोके कोई
अक़्स-ए-ख़ुशबू हूँ*, बिखरने से न रोके कोई
और बिखर जाऊँ तो, मुझ को न समेटे कोई
काँप उठती हूँ मैं सोच कर तन्हाई में
मेरे चेहरे पर तेरा नाम न पढ़ ले कोई
जिस तरह ख़्वाब हो गए मेरे रेज़ा-रेज़ा*
इस तरह से, कभी टूट कर, बिखरे कोई
अब तो इस राह से वो शख़्स गुज़रता भी नहीं
अब किस उम्मीद पे दरवाज़े से झाँके कोई
मैं तो उस दिन से हिरासाँ* हूँ की जब हुक्म मिले
खुश्क फूलों को किताबों में न रखे कोई
कोई आहट, कोई आवाज़, कोई चाप नहीं
दिल की गलियाँ बड़ी सुनसान है आए कोई
* अक़्स-ए-ख़ुशबू – खुशबू की परछाई
* रेज़ा-रेज़ा – टुकड़े-टुकड़े
* हिरासाँ – परेशान
*****